Lyrics of Jajabor:
Jojobor xima biheen mon mur;
Luitor dore boi jaam bohu duur
Badha di raakhibo kune muk;
Kobaal xutor goti mur
Naksh-e-kadmon pe chalna;
Bechaara khwaab hai
Seedhi sadkon pe rehna;
Aadat kharaab hai
Duniya anjaan ye;
Kora kaagaz dikhe
Paaon ke kalam se;
Nayi raahein likhein
Apna toh ye hisaab hai
Khidkiyon se;
Chai peete hue
Baarish ka lete mazaa;
Par bheegne se darein
Hum woh nahin jo;
Saahilon se
Toofaan ka;
Nazaara kareinz
Na main aaina;
Na koi aks hoon
Tum jo bhi ho;
Jab main tum nahin
Tumhaari tarah phir kyun banoon
Jojobor xima biheen mon mur;
Luitor dore boi jaam bohu duur
Badha di raakhibo kune muk;
Kobaal xutor goti mur
Duniya anjaan ye;
Kora kaagaz dikhe
Paaon ke kalam se;
Nayi raahein likhein
Apna toh ye hisaab hai;
Chhoda iraada
Rehne ka mehfooz;
Hai naamanzoor tumhaare
Jeene ka kaayda
In daayron mein;
In sarhadon mein
Hai kya faayda
Hai aasmaan;
Armaan ka pataa
Raah gumshuda ho;
Par kadam yun badhein
Ke manzil bhi kahe marhaba
Naksh-e-kadmon pe chalna;
Bechaara khwaab hai
Seedhi sadkon pe rehna;
Aadat kharaab hai
Duniya anjaan ye;
Kora kaagaz dikhe
Paaon ke kalam se;
Nayi raahein likhein
Apna toh ye hisaab hai